Marketing Tips and Tricks in Urdu


Marketing kisi business ki kamyabi ke liye nahayat aham hoti hai. darj Zail main chand aham marketing tips, Urdu main pesh hain. Marketing main sab se ziada ahmiyyat customers ko dee jati hai, yani ke wo loog jo aap ki products ya services khareedtey hain ya mustaqbil main khareed sakty hain.

 

Aik achi product ya service ke saath, apke customer service bhi nehayat achi honi chahye. Phir marketing ka inhesaar iss baat per bhi hai ke aap apna pegham logo tak kaise ponchatey hain. Neez product ki dastayabi aur uski keemat bhi nehayat ahm hai. 

 

Agar loog product khareedna chahte hon aur who dastayab na ho tu yeh marketing ke liye acha nahin hota. Agar keemat bohat ziada ho tu bhi loog aap ki pro1duct nahin khareeden geyis ka maqtlab ap ku apny product kiqeemat itnyrakhny hu gy kyloog assani sy parchees kar sakain.


Aik aur marketing tip yeh bhi hai k, hamesha apne customer ke baray main research Karen ke woh kon hain (unki ummer, gender, wo kitnyhadtak apki product hasillkar sakta hy etc.), who kahan rehte hain, aur who apki product kiun khareed sakte hain.
Apko apni khoobyon (strengthens) aur khamyon (weaknesses) ka bhi pta hona chaye. Neez yeh bhi ke market main kis jagah project majood hain. Aur, yeh ke moqami aur mulki lehaz se apki product kabl e kabool hon. 

Yaad rakhye marketing sirf nae customer hasil karne ka naam nahin hy, balke yeh bhi intehai zaroori hai ke aap ke jo pehle se majood customers hain woh aap se khush hon.
Taa’ke woh umr bhar ke leye aap se hi product khareeden aur apki products doosray logon ko bhi bataen. Yeh bhi boht zaroori hai ke aap customers ko apne baray main bakhabar rakhen aur un se communication main rahen. 

Unki feedback hasil Karen aur apni products behtar karne ki koshish karte rehen. Kiun k agar apke customers khush hain tu ap ke liey marketing bohat asan ho gee.
Aaj ky doar main, marketing main Internet ka istamal barh raha hai – search engines optimization main top rankings ke sath social media jaisa ka Facebook, Twiiter,instagram, YouTube aur blogging jaise networks marketing main aham kirdar ada kar sakte hain. Neez achay content likhna bhi internet marketing main ahmiyyat ka hamil hai.